tune jo na kaha mein woh sunta raha
khamakha bewaja khwaab bunta raha
mmmm mmm mmmmmm… mmm mmmm
tune jo na kaha mein woh sunta raha
khamakha bewaja khwaab bunta raha
jaane kiski humein lag gayi hai nazar
iss shehar mein na apna thikana raha
door chahat se mein apni chalta raha
khamakha bewaja khwaab bunta raha
gar woh pehle se hai zyaada
khud se phir yeh kiya wada
khamosh nazrein rahe bezubaan
hmmmm…mmm…mmmm….
apno pehle si baatein hai,
bolo tho lab thar tharatein hai
raaz yeh dil ka na ho bayaan
ho gaya ke aasar koi hum pe nayi
humsafar mein toh hai humsafar hai nayi
door jatha raha paas aatha raha
khamakha bewaja khwaab bunta raha
hmmm…mmm…mmmmm…
aaya woh phir nazar aise
baat chidne lagi phir se
aankhon mein chubta kal ka dhuaa
mmmm..mmm…mmm…
haal tera na hum sa hi
iss khushi mein kyun gham sa hi
basne laga kuyn phir woh jahan
woh jahan door jisse gaye te nikal
phir se yaadon ne kar di hai jaise pehal
lamha beeta hua dil dhukata raha
khamakha bewaja khwaab bunta raha
tune jo na kaha mein woh sunta raha
khamakha bewaja khwaab bunta raha
jaane kiski humein lag gayi hai nazar
iss shehar mein na apna thikana raha
door chahat se mein apni chalta raha
bhujh gayi aag thi dhaag jalta raha
No comments:
Post a Comment